sayyedi_silsila

Sayyedi Silsila®️[Official]

Aal e Nabiﷺ Aulad e Sayyeda Fatima wa Ali رضى الله تعالى عنه Adab e Sahaba wa Awliyah Allah Ahlus Sunnah Wa Jam'ah

Loading...
❤️
💔
Shab e Hijrat Aiesi Guzari Maula Ne Soye Toh Laga MUHAMMAD Hai Jaagey Toh Khabar Huwi Ali. Jo Lakhoon Ke Lashkar Mein Tanha Dikhayi De , Jis Shaqs Ki Tanahi Bhi Lashkar Dikhayi De, Tareekh Mein Ek Aur Imam Aiesa Dikha Do, Chadar Jo Odh Le Toh Payambar Dikhayi De . Maula Ali Maula اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى سَيِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ سَيِّدِنَا مُحَمَّد #sayyedi_silsila #talimat_e_sufiyah #sufiajmalnizami
Aale Zehra se Muhabbat kijiye Yun Ada Ajre Risalat kijiye . Bin Ali o Fatima Hasnain ke Dawa e ishq e Risalat kijiye ? . Naara Kijie Ya Ali Maula Madad ! Jaan e Mushkil par Qayamat kijiye . Maangiye Nalayn e Shabbar ka Utaar Mufliso kuch Fikr e Daulat Kijiye . Roiye Shabbir ke Gham me Mudaam Kuch to Chara e Shafa'at Kijiye !!! . Fazl e Haidar se jale jo Bad-Nasab Kyun Bhala Uski Murawwat Kijiye !!! . Aaaiye Zehra ke Dar pe Sar ke Bal Ba Adab phir Arz e Haajat Kijiye ! . Hain Panjatan Maqsood e Aalam Beguma'n Zikr inka Apni Aadat Kijiye !!!! . Ya Rasoolallah o Ya Mushkil-kusha Sayyada , Hasnain Nusrat Kijiye . Pae Aqdas choomiye Sajjaad ke istighasa Bil-iradat Kijiye !!! . Hazrat e Baqir pe Hojie Nisaar Kasb e ilm e Dee'n ki Surat kijiye . Sadiq e Aale Muhammad Mustafa Hazrat e Ja'afar ki Midhat Kijiye . Musa e Kazim imam e Deen e Haq Ya Sh'he Aali Sakhawat Kijiye !!!! . Dekhiye Mashhad mein Jalwa e Reza Hazrat e Haq ki Ziyarat Kijiye !!! . Ho Seerat e Maula Taqi Pesh e Nazar Kuch to Kasb e Zuhd o Ta'at Kijiye . Ho Nafasat Qalb o jaa'n mein phir Kahin Shah e Naqi se Arz e Nisbat Kijiye ...!!! . Ya Hasan Ya Askari Ya Shah e Dee'n Hum pe bhi Nazar e inayat Kijiye . Al Ajal Ya Muntazar Mawla e Man Ya Sh'ha ab Awn o Nusrat kijiye . Shah e jilani Ka Sadqa Maangiye Haidari kuch Azm o Himmat Kijiye . Ya Khwaja e Hindal Wali Behre Khuda Hum Gharibon par inayat kijiye . Panjatan ke Talib o Aashiq hain Aap ? Hazrat e Waris se Ulfat Kijiye ! . Zikr e Ahlebait Kijie yun "Faraz" Joshish e Darya e Rehmat Kijiye !!!! . -Az Syed Faraz Warsi Hasani Sahib Qiblah
next page →